120+ Barish Shayari in English 2025

Barish Shayari in English

बारिश हमेशा दिल के सबसे गहरे एहसासों को जगा देती है। कभी ये प्यार का इज़हार बन जाती है, तो कभी यादों का मौसम बनकर दिल को भीगाती है। Barish Shayari In English उन ही भावनाओं को खूबसूरती से शब्दों में ढालती है। इन शायरियों में रोमांस, यादें और तन्हाई का अनोखा संगम है। अगर आप भी बारिश में खो जाने वाले इंसान हैं, तो ये शायरियां आपके दिल को ज़रूर छू जाएंगी। यहाँ हर लफ़्ज़ में भीगी मोहब्बत की खुशबू है।

Barish Shayari in English Text

bārish sharāb-e-arsh hai ye soch kar ‘adam’
bārish ke sab hurūf ko ulTā ke pī gayā

maiñ vo sahrā jise paanī kī havas le Duubī
tū vo bādal jo kabhī TuuT ke barsā hī nahīñ

Barish Shayari in English Text
Barish Shayari in English Text

us ne bārish meñ bhī khiḌkī khol ke dekhā nahīñ
bhīgne vāloñ ko kal kyā kyā pareshānī huī

tamām raat nahāyā thā shahr bārish meñ
vo rañg utar hī ga.e jo utarne vaale the

ab bhī barsāt kī rātoñ meñ badan TūTtā hai
jaag uThtī haiñ ajab ḳhvāhisheñ añgḌā.ī kī

dhuup ne guzārish kī
ek buuñd bārish kī

duur tak chhā.e the bādal aur kahīñ saaya na thā
is tarah barsāt kā mausam kabhī aayā na thā

TuuT paḌtī thiiñ ghaTā.eñ jin kī āñkheñ dekh kar
vo bharī barsāt meñ tarse haiñ paanī ke liye

kachche makān jitne the bārish meñ bah ga.e
varna jo merā dukh thā vo dukh umr bhar kā thā

barsāt ke aate hī tauba na rahī baaqī
bādal jo nazar aa.e badlī merī nīyat bhī

yaad aa.ī vo pahlī bārish
jab tujhe ek nazar dekhā thā

daftar se mil nahīñ rahī chhuTTī vagarna maiñ
bārish kī ek buuñd na be-kār jaane duuñ

saath bārish meñ liye phirte ho us ko ‘anjum’
tum ne is shahr meñ kyā aag lagānī hai koī

barsāt kā bādal to dīvāna hai kyā jaane
kis raah se bachnā hai kis chhat ko bhigonā hai

os se pyaas kahāñ bujhtī hai
mūslā-dhār baras merī jaan

ham to samjhe the ki barsāt meñ barsegī sharāb
aa.ī barsāt to barsāt ne dil toḌ diyā

kyuuñ maañg rahe ho kisī bārish kī duā.eñ
tum apne shikasta dar-o-dīvār to dekho

bārish huī to ghar ke darīche se lag ke ham
chup-chāp sogvār tumheñ sochte rahe

gungunātī huī aatī haiñ falak se būñdeñ
koī badlī tirī pāzeb se Takrā.ī hai

ham se pūchho mizāj bārish kā
ham jo kachche makān vaale haiñ

bhīgī miTTī kī mahak pyaas baḌhā detī hai
dard barsāt kī būñdoñ meñ basā kartā hai

Rain Shayari in English

baras rahī thī bārish bāhar
aur vo bhiig rahā thā mujh meñ

ab ke bārish meñ to ye kār-e-ziyāñ honā hī thā
apnī kachchī bastiyoñ ko be-nishāñ honā hī thā

Rain Shayari in English
Rain Shayari in English

‘kaif’ pardes meñ mat yaad karo apnā makāñ
ab ke bārish ne use toḌ girāyā hogā

kyā kahūñ dīda-e-tar ye to mirā chehrā hai
sañg kaT jaate haiñ bārish kī jahāñ dhaar gire

falak par uḌte jaate bādaloñ ko dekhtā huuñ maiñ
havā kahtī hai mujh se ye tamāshā kaisā lagtā hai

ghaTā dekh kar ḳhush huiiñ laḌkiyāñ
chhatoñ par khile phuul barsāt ke

duur tak phailā huā paanī hī paanī har taraf
ab ke bādal ne bahut kī mehrbānī har taraf

ajab pur-lutf manzar dekhtā rahtā huuñ bārish meñ
badan jaltā hai aur maiñ bhīgtā rahtā huuñ bārish meñ

dar-o-dīvār pe shakleñ sī banāne aa.ī
phir ye bārish mirī tanhā.ī churāne aa.ī

koī kamre meñ aag tāptā ho
koī bārish meñ bhīgtā rah jaa.e

aur bāzār se kyā le jā.ūñ
pahlī bārish kā mazā le jā.ūñ

vo ab kyā ḳhaak aa.e haa.e qismat meñ tarasnā thā
tujhe ai abr-e-rahmat aaj hī itnā barasnā thā

kachchī dīvāroñ ko paanī kī lahar kaaT ga.ī
pahlī bārish hī ne barsāt kī Dhāyā hai mujhe

aane vaalī barkhā dekheñ kyā dikhlā.e āñkhoñ ko
ye barkhā barsāte din to bin pirītam be-kār ga.e

furqat-e-yār meñ insān huuñ maiñ yā ki sahāb
har baras aa ke rulā jaatī hai barsāt mujhe

kaun hai is rim-jhim ke pīchhe chhupā huā
ye aañsū saare ke saare kis ke haiñ

aaj to aise bijlī chamkī bārish aa.ī khiḌkī bhīgī
jaise bādal khīñch rahā ho mere ashkoñ kī tasvīreñ

ik janam ke pyāse bhī sair hoñ to ham jāneñ
yuuñ to rahmat-e-yazdāñ chār-sū barastī hai

ab kī rut meñ jab dhartī ko barkhā kī mahkār mile
mere badan kī miTTī ko bhī rañgoñ meñ nahlā denā

ik to vaise hī udāsī kī ghaTā chhā.ī hai
aur chheḌoge to aañsū bhī nikal sakte haiñ

hotī rahī āñkhoñ se jo yuuñ ḳhuun kī bārish
dil ḳhatm na ho jaa.e jigar ḳhatm na ho jaa.e

sard jhonkon se bhadakte hain badan mein sholay
jaan le legi ye barsaat qareeb aa jaao

dhoop to dhoop hi hai iski shikaayat kaisi
ab ki barsaat mein kuchh ped lagana sahab

vo ajab shakhs tha har haal mein khush rehta tha
us ne ta-umr kiya hans ke safar baarish mein

Weather Shayari in English

agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodi hai
zara si boonda-baandi hai bahut barsaat thodi hai

ye raah-e-ishq hai ismein qadam aise hi uthte hain
mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodi hai

Weather Shayari in English
Weather Shayari in English

us ne baarish mein bhi khidki khol ke dekha nahin
bheegne waalon ko kal kya kya pareshaani hui

aankh bhar aayi kisi se jo mulaqaat hui
khushk mausam tha magar toot ke barsaat hui

baazi badi thi usne mere chashme-tar ke saath
aakhir ko haar haar ke barsaat rah gayi

us ladki se bas ab itna rishta hai
mil jaaye to baat wagaira karti hai
baarish mere rab ki aisi nemat hai
rone mein aasaani paida karti hai

yaad hai mujh ko tere saath vo baarish ka safar
ab akela hoon magar khair koi baat nahin

tumhaare paas aate hain to saansen bheeg jaati hain
mohabbat itni milti hai ki aankhen bheeg jaati hain
tabassum itr jaisa hai hasi barsaat jaisi hai
vo jab bhi baat karti hai to baatein bheeg jaati hain

mehrbaan ham pe har ik raat hua karti thi
aankh lagte hi mulaqaat hua karti thi
hijr ki raat hai aur aankh mein aansoo bhi nahin
aise mausam mein to barsaat hua karti thi

raat ho chaand ho baarish bhi ho aur tum bhi ho
aisa mumkin hi nahin hai ki kabhi ho mere saath

din mein mil lete kahi raat zaroori thi kya
benateeja ye mulaqaat zaroori thi kya
mujhse kahte to main aankhon mein bula leta tumhein
bheegne ke liye barsaat zaroori thi kya

arsh mein to koi bhi aankh nahin
phir ye baarish kahaan se hoti hai

You can also read

aasmaan se garaj chhedti hai hamein
ek baarish mein bhi bheege the saath ham

ab ke saawan mein sharaarat ye mere saath hui
mera ghar chhod ke kul shehar mein barsaat hui

meri aankhon se baarish poochhti hai
tumhaara kya koi mausam nahin hai

yun teri raah takte takte sun
meri aankhon mein pad gaye jaale
abke baarish kahi meri chat se
tera ehsaas hi na dho dale

sirf itni si gunjaish hai vasl dikhne ki
jaise ittifaqan baarish mein dhoop dik jaaye

Barish Shayari in Roman English

khushboo ki barsaat nahin kar paate hain
ham khud hi shuruaat nahin kar paate hain
jis ladki ki baatein karte hain sabse
us ladki se baat nahin kar paate hain

kamre se vo baarish kaise dekhegi
kamre mein ik khidki bhi banwaani thi

baarish ho jaane ke baad bhi mitti geeli rahti hai
main tere jaane ke baad bhi tujhse baatein karta hoon

dil mein chhupi jo rah gai thi baat abhi tak
karti rahi andar mere barsaat abhi tak

tumhein main kya bataaun is shehar ka haal kaisa hai
yahan baarish to hoti hai magar saawan nahin aata

dekh kaise dhul gaye hai giryaa-o-zaari ke baad
aasmaan baarish ke baad aur main azaadari ke baad
isse badh kar to tujhe koi hunar aata nahi
sochta hoon kya karega dil azaari ke baad

hai basti ko zaroorat teri ar tu ja raha hai yaar
ke yaani is baras bhi gaav mein baarish nahin hogi

You can also read Barish Shayari in Hindi

ai aasmaan teri inaayat baja magar
faslen paki hui hon to baarish fuzool hai

samandar aankh mein jiske ho simtaa
use baarish ghamon ki kya bhigoyegi

ye mumkin hai nahin tum bheeg paao abki saawan mein
zaroori to nahin hai yaar ke har baar baarish ho

jaane kaise khush rahne ki aadat daali jaati hai
unke yahan to baarish mein bhi dhoop nikaali jaati hai

bahut muddat ke ba’ad aayi hai baarish
aur us zalim ke paper chal rahe hain

door tak chhaaye the baadal aur kahi saaya na tha
is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha

pehle to is hijr ne jam kar baarish kii
phir baarish mein mor nachaaya yaadon ne

kabhi seharaaon mein bhi baarish ho
vo bhi dekhen kabhi mujhe chat se

dhoop mein kaun kise yaad kiya karta hai
par tire shehar mein barsaat to hoti hogi

yah baarish phir hogi barsaat ka mausam hai
ik ghar phir dhah jaayega maat ka mausam hai

main ki kaaghaz ki ek kashti hoon
pehli baarish hi aakhiri hai mujhe

zabt karo gar gham ke baadal chhaaye hain
raqs karo ke baarish aane waali hai

vo gusse mein seedhi baat nahin karta
toofaanon mein baarish tirchi hoti hai

phir hua hai wahi jiska dar tha mujhe
abki baarish jo aayi to ghar dhah gaya

jismein tum sab bheeg rahe the baarish achhi batlaakar
aankhon ke aansu the sab vo koi barsaat nahin thi

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *