150+ Mother Shayari in English 2025

Mother Shayari in English

माँ हमारे जीवन का सबसे पवित्र और सच्चा रिश्ता होती है। उसका प्यार, दुआएँ और ममता हर दर्द को मिटा देती हैं। Mother Shayari In English उन गहराईयों को शब्दों में ढालती है जिन्हें हम अक्सर महसूस तो करते हैं, लेकिन कह नहीं पाते। इन शायरियों में माँ के त्याग, स्नेह और अपनापन का अद्भुत चित्रण है। चाहे वह मुस्कुराहट दे या आँसू पोंछे, माँ हर पल हमारे साथ होती है। ये शायरियां हमें याद दिलाती हैं कि दुनिया में अगर कोई सच्चा फरिश्ता है, तो वह हमारी प्यारी माँ ही है।

Mother Shayari In English

Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

Meri har koshish ko khuda safal kar deta hai,
Meri maa ka hona mujhe mukammal kar deta hai.

Mother Shayari
Mother Shayari

Maa tere doodh ka haq mujhse ada kya hoga,
Tu hai naaraaz to khush mujhse bhagwan kya hoga.

Sar par jo haath phere, toh himmat mil jaaye,
Maa ek baar muskura de, toh jannat mil jaaye.

Syahi Khatm Ho Gyi Maa Likhte-Likhte,
Uske Pyar Ki Daastaan Itni Lambi Thi …

Maa woh dariya hai jismein har dukh doob jaata hai,
Uske pyaar mein har gham ka saaya chala jaata hai.

Kitni maangi hai usne dua jaante ho,
Tum meri maa ke baare mein bhala kya jaante ho!

Maa ki mamta ki koi misaal nahi hoti,
Woh to Khuda ki sabse badi khushboo hoti hai…!!!

Manzile Bahut Unchi Chada Main, Magar Kuch Haath Na Aaya,
Maa Ne Pyaar Se Uthaya, Tab Jaakar Aasman Aaya…!!!

Khuda dekha, chaand dekha na jaane maine kya kya dekha
Par is duniya mein maa se khoobsurat kuch nahi dekha!

Jise dekhun jab bhi mushkil mein, maa yaad aa jaati hai,
Uski duaon ki taakat se har raah aasaan ho jaati hai.

Heart Touching Mother Shayari

Maa ki parchhai jiske sath hoti hai
Bhagwan ki kripa bhi ushi par hoti hai!!

Pet par laat khake Phir bhi pyaar lutati hai,
Ek maa hi hai jo sacche Pyaar ki moorat kehlati hai.

Heart Touching Mother Shayari
Heart Touching Mother Shayari

Parivaar ko garam khana,Aur khud thanda khati hai,
Maa aisi hai jo roz Sitla Saptami manati hai.

Ab bhi chalti hai jab aandhi kabhi gham ki ‘Rana’,
Maa ki mamta mujhe baahon mein chhupa leti hai.

Maangne par jahan poori har mannat hoti hai,
Maa ke pairo mein hi to woh jannat hoti hai.

Jise poora jahan chahiye, ho sakta hai woh mile,
Mujhe to sirf meri maa ki mamta chahiye!

Manzil door aur safar bahut hai,
Chhoti si zindagi ki fikr bahut hai,
Maar daali ye duniya kab ki hume,
Lekin maa ki duaon mein asar bahut hai.

Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dehi Hai,
Maine Jannat Toh Nahi Dekhi Hai Maa Dekhi Hai.

Is Sehar Me Door Tak Jana Nhi Mujhe,
Yaha Se Kahi Or Jana Nhi Mujhe,
Ye Meri Maa Ke Kadmo Ki Mitti Hai,
Ise Yu Hi Baarish Me Bahana Nhi Mujhe…!!!

Maa jeevan ka shringar hai, Nannhe jeevan ka aadhar hai,
Pita mere raja, maa meri rani, Yahi meri jeevan ki kahani.

Is udaasi ka koi hal nikaal mere Mahadev,
Meri maa mujhse mera haal poochhti hai

Maa sabki jagah le sakti hai,
Par maa ki jagah koi nahi le sakta…!

Tere aanchal ki chhaav mein sukoon hi sukoon hai,
Maa,
Tu hai to har dard bhi ek tohfa mehsoos hota hai.

Maa ke begair ghar soona hota hai,
Aur baap ke begair zindagi.

Sirf khone wala hi jaanta hai,
Maa ko khone ke baad wo har roz kis dard se guzarta hai…!

Hamare har marz ki dawa hoti hai maa,
Humein takleef ho to ek paanv pe khadi rehti hai maa!

Maa na hogi to wafa kaun karega,
Mamta ka haq bhi ada kaun karega…
Rab har maa ko salaamat rakhna,
Warna humare liye dua kaun karega…

Rooh ke rishton ki yeh gehraaiyan to dekhiye,
Chot lagti hai humein aur dard maa ko hota hai

Balaayein aakar bhi meri chaukhat se laut jaati hain,
Meri maa ki duaayein bhi kitna asar rakhti hain.

Maa pehle aansu aate the to tum yaad aati thi,
Aaj tum yaad aati ho aur aansu nikal aate hain.

Meri taqdeer mein kabhi koi gham nahi hota,
Agar taqdeer likhne ka haq meri maa ko hota!

Lafz alag hai, jazbaat wahi hai,
Maa kahoon ya duniya, baat wahi hai.

Baap ki tarah gham chhupana to seekh gaya,
Maa jitna sabr seekhna baaki reh gaya…

You can also read Maa Shayari in Hindi

Is tarah mere gunahon ko woh dho deti hai,
Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai.

Maa ke bina zindagi veeraan hoti hai,
Tanha safar mein har raah sunsaan hoti hai,
Zindagi mein maa ka hona zaroori hai,
Maa ki duaaon se har mushkil aasaan hoti hai।

Mother Shayari in English Short

Aaj khoobsurti ki seema dekhi,
Jab main ne muskurati hui apni maa dekhi.

Jiski maa hoti hai uski zindagi aasan hoti hai,
Par jiski maa nahi hoti uski zindagi veeraan hoti hai.

Mother Shayari in English Short
Mother Shayari in English Short

Ek muddat se meri maa nahi soyi ‘Tabish’,
Main ne ek baar kaha tha, mujhe darr lagta hai.

Maa se rishta kuch aisa hota hai,
Sab rishto se bad kar hota hai,
Nhi hoti is mein koi milwat
Yhi rishta sacche prem ka hota hai.

Poochta hai jab koi mujhse ki Duniya mein muhabbat ab bachi hai kahan
Muskura deta hoon main Aur yaad aa jaati hai Maa

Sakht raahon mein bhi aasan safar lagta hai,
Yeh meri maa ki duaon ka hi asar lagta hai.

Maa ne mujhe dekha to thakan bhool gayi hai,
Shehar ke raste hon chahe gaon ki pagdandiyan.

BadDuaa Santaan Ko Ek Maa Kabhi Deti Nahin,
Dhoop Se Chhale Mile Jo Chhaon Baithhi Hai Sehej.

Jiske paas maa hai, use uski kadar kam hoti hai,
Aur jise maa nahi milti, use uski kami sabse zyada hoti hai.

Maa ki duaon ka asar bachchon par beshumar hai,
Maa ke sangharsh aur pyaar ke hum sab karzdar hain..!!

Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rahi Maa,
Main Teri Khidmat Ke Qabil Jab Hua Tu Chali Gayi Maa.

Maa Badi Anpadh Si Hua Karti Hai,
Main Chaar Roti Kyu Na Kha Lu,
Vo Sirf Ek Hi Gina Karti Hai..!!

Mother Shayari in English Text

Tu hai to duniya rangeen lagti hai,
Teri mamta se hi yeh zindagi haseen lagti hai.

Use duniya ki har khushi dena dost,
Jisne bachpan mein tumhe har dukh se bachaya..!!

meree khvaahish hai kee mai phir se pharishta ho jaoo,
maa se is tarah lipatu kee bachcha ho jaoo.

Kabhi rooth jaun to wo mujhe mana leti hai,
Maa hi hai jo har haal mein gale laga leti hai.

Duniya ke rangon mein is tarah kho jate h log
Duniya dikhane wali apni maa ko paraya kar dete hain log

My Mother Shayari in English

Ai andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
Maa ne aankhen khol diin ghar mein ujala ho gaya.

Uski duaon mein aisa asar hai,
Ki soye bhaagya jaga deti hai,
Mit jaate hain dukh dard sabhi,
Maa jeevan mein chaar chaand laga deti hai.

Labon pe uske kabhi baddua nahi hoti,
Bas ek maa hai jo mujhse khafa nahi hoti!

Hanskar mera har gham bhulaati hai maa,
Main rota hoon to seene se lagaati hai maa,
Bahut dard diya hai is zamaane ne mujhko,
Sab kuch jhelkar jeena sikhati hai maa.

Wo daant daant kar khana khilana yaad aata hai,
Mere waaste tera paisa bachana yaad aata hai.

Maa na ho toh zindagi se mujhe bhi alvida kehna hai,
Maa meri zindagi hai, tu mujhe poori umr tere saath rehna hai.

Maa ka pyaar sabse gehra hai,
Maa ki mamta sabse pyari hai.

Maa ki mamta ka koi muqabla nahi,
Woh toh bhagwan ka vardaan hai.

Jab bhi dil mein sachche pyaar ki awaaz aati hai,
Koi aur nahi mujhe sirf meri maa yaad aati hai.

Emotional Mother Shayari in English

sirf ik kaagaz pe likha lafz-e-maa rehne diya
sab ne maana marne wala dahshat-gard aur qaatil tha
maa ne phir bhi qabr pe uski raj-dulara likha tha

Zindagi ke har mod par mere saath khade rahe,
mere papa mere sabse bade hero rahe.

Emotional Mother Shayari
Emotional Mother Shayari

Maa ki mamta hai sabse pyari,
Uske bina lagta hai zindagi saari.

Pita ke kadam hain raahein jo dikhate hain,
Unke bina hum apni manzil nahi paate hain.

Maa ke aansu kabhi na kisi ko dikhana,
Unke dard ko apne dil mein chhupana.

Pita mere raja hain aur maa hai meri rani,
Itni si hai mere jeevan ki saral aur madhur kahani.

Maa ki yaad satati hai, mere paas aa jao,
Thak gaya hoon, mujhe apne aanchal mein sulao.

Maa ke bina zindagi hai ek veerani,
Uski muskurahat se hi hai har subah suhani.

Bachpan mein maa ki ungli tham kar chala,
Aaj bhi uss muskurahat ko yaad karta hoon.

Maa ka pyaar ek aisa tofa hai,
Jo har din mere saath rehta hai

Maa ki muskurahat mein chhupi hai meri khushi,
Uski khamoshi mein bhi hai ek kahani.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *